Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chander Wahid

  • Ghazal


wo dekhne mein faqat raste ka patthar hai


vo dekhne meñ faqat rāste kā patthar hai
hazār rāhbaroñ se magar vo behtar hai

samay kumhār hai jo chaak par nachātā hai
ye zindagī to surāhī kā nāchnā bhar hai

jo ḳhālī haath hai aayā vo kyā ḳharīdegā
ise to duniyā ke mele ko dekhnā bhar hai

ye dekhnā hai ki jītegā kaun baazī ko
muqāble meñ mirā ghar hai aur mahshar hai

ġhamoñ kī aag se ḳhud ko zarā bachā rakhnā
ki jis meñ rahte ho 'vāhid' vo mom kā ghar hai

wo dekhne mein faqat raste ka patthar hai
hazar rahbaron se magar wo behtar hai

samay kumhaar hai jo chaak par nachata hai
ye zindagi to surahi ka nachna bhar hai

jo KHali hath hai aaya wo kya KHaridega
ise to duniya ke mele ko dekhna bhar hai

ye dekhna hai ki jitega kaun bazi ko
muqable mein mera ghar hai aur mahshar hai

ghamon ki aag se KHud ko zara bacha rakhna
ki jis mein rahte ho 'wahid' wo mom ka ghar hai


Leave a comment

+