Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imam Bakhsh Nasikh

  • Ghazal


choT dil ko jo lage aah-e-rasa paida ho


choT dil ko jo lage āh-e-rasā paidā ho
sadma shīshe ko jo pahuñche to sadā paidā ho

kushta-e-teġh-e-judā.ī huuñ yaqīñ hai mujh ko
uzv se uzv qayāmat meñ judā paidā ho

ham haiñ bīmār-e-mohabbat ye duā māñgte haiñ
misl-e-iksīr na duniyā meñ davā paidā ho

kah rahā hai jaras-e-qalb ba-āvāz-e-buland
gum ho rahbar to abhī rāh-e-ḳhudā paidā ho

kis ko pahuñchā nahīñ ai jaan tirā faiz-e-qadam
sañg par kyuuñ na nishān-e-kaf-e-pā paidā ho

mil gayā ḳhaak meñ pis pis ke hasīnoñ par maiñ
qabr par bo.eñ koī chiiz hinā paidā ho

ashk tham jaa.eñ jo furqat meñ to aaheñ nikleñ
ḳhushk ho jaa.e jo paanī to havā paidā ho

yaañ kuchh asbāb ke ham bande hī muhtāj nahīñ
na zabāñ ho to kahāñ nām-e-ḳhudā paidā ho

gul tujhe dekh ke gulshan meñ kaheñ umr darāz
shāḳh ke badle vahīñ dast-e-duā paidā ho

bosa māñgā jo dahan kā to vo kyā kahne lage
tū bhī mānind-e-dahan ab kahīñ nā paidā ho

na sar-e-zulf milā balbe darāzī terī
rishta-tūl-e-amal kā bhī sirā paidā ho

kis tarah sach hai na ḳhurshed ko raj.at ho jaa.e
tujh sā āfāq meñ jab māh-laqā paidā ho

abhī ḳhurshed jo chhup jaa.e to zarrāt kahāñ
tū hī pinhāñ ho to phir kaun bhalā paidā ho

kyā mubārak hai mirā dast-e-junūñ ai 'nāsiḳh'
baiza-e-būm bhī TuuTe to humā paidā ho

choT dil ko jo lage aah-e-rasa paida ho
sadma shishe ko jo pahunche to sada paida ho

kushta-e-tegh-e-judai hun yaqin hai mujh ko
uzw se uzw qayamat mein juda paida ho

hum hain bimar-e-mohabbat ye dua mangte hain
misl-e-iksir na duniya mein dawa paida ho

kah raha hai jaras-e-qalb ba-awaz-e-buland
gum ho rahbar to abhi rah-e-KHuda paida ho

kis ko pahuncha nahin ai jaan tera faiz-e-qadam
sang par kyun na nishan-e-kaf-e-pa paida ho

mil gaya KHak mein pis pis ke hasinon par main
qabr par boen koi chiz hina paida ho

ashk tham jaen jo furqat mein to aahen niklen
KHushk ho jae jo pani to hawa paida ho

yan kuchh asbab ke hum bande hi muhtaj nahin
na zaban ho to kahan nam-e-KHuda paida ho

gul tujhe dekh ke gulshan mein kahen umr daraaz
shaKH ke badle wahin dast-e-dua paida ho

bosa manga jo dahan ka to wo kya kahne lage
tu bhi manind-e-dahan ab kahin na paida ho

na sar-e-zulf mila balbe daraazi teri
rishta-tul-e-amal ka bhi sira paida ho

kis tarah sach hai na KHurshed ko rajat ho jae
tujh sa aafaq mein jab mah-laqa paida ho

abhi KHurshed jo chhup jae to zarraat kahan
tu hi pinhan ho to phir kaun bhala paida ho

kya mubarak hai mera dast-e-junun ai 'nasiKH'
baiza-e-bum bhi TuTe to huma paida ho


Leave a comment

+