fā.eda hai yā ḳhasāra ham ko sab ma.alūm hai
kyoñ kareñ ham istiḳhāra ham ko sab ma.alūm hai
log kyoñ ḳhud ko batāte haiñ hamārā ḳhair-ḳhvāh
kaun hai kitnā hamārā ham ko sab ma.alūm hai
kis ke ghar meñ tīrgī kā raaj thā kal raat ko
chāñd kis ke ghar utārā ham ko sab ma.alūm hai
zindagī hai naam jis kā zindagī hargiz nahīñ
kar rahe haiñ sab guzārā ham ko sab ma.alūm hai
sau samundar aañkh meñ to sau kināre haath par
kyā samundar kyā kinārā ham ko sab ma.alūm hai
kyā khulī hai kā.enātī ramz kī sachchī kitāb
kyā huā hai āshkārā ham ko sab ma.alūm hai
jaan de kar hī bachāyā ham ne is dastār ko
phir uThā hai sar hamārā ham ko sab ma.alūm hai
apnī aadat se to vāqif hī nahīñ ab tak ye log
lauT ā.eñge dobāra ham ko sab ma.alūm hai
chāñd zarra hai hamārī hī zamīñ kā 'iftiḳhār'
āsmāñ hai ik sitārā ham ko sab ma.alūm hai
faeda hai ya KHasara hum ko sab malum hai
kyon karen hum istiKHara hum ko sab malum hai
log kyon KHud ko batate hain hamara KHair-KHwah
kaun hai kitna hamara hum ko sab malum hai
kis ke ghar mein tirgi ka raj tha kal raat ko
chand kis ke ghar utara hum ko sab malum hai
zindagi hai nam jis ka zindagi hargiz nahin
kar rahe hain sab guzara hum ko sab malum hai
sau samundar aankh mein to sau kinare hath par
kya samundar kya kinara hum ko sab malum hai
kya khuli hai kaenati ramz ki sachchi kitab
kya hua hai aashkara hum ko sab malum hai
jaan de kar hi bachaya hum ne is dastar ko
phir uTha hai sar hamara hum ko sab malum hai
apni aadat se to waqif hi nahin ab tak ye log
lauT aaenge dobara hum ko sab malum hai
chand zarra hai hamari hi zamin ka 'iftiKHar'
aasman hai ek sitara hum ko sab malum hai
Source: Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 248) Author : Farooq Argali Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004) Edition : 2004
Leave a comment