Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Elizabeth Kurian Mona

  • Ghazal


dard iksir ke siwa kya hai


dard iksīr ke sivā kyā hai
zaḳhm-e-dil ke binā mazā kyā hai

merī sāñsoñ meñ bas ga.ī hai mahak
haa.e is kūche kī havā kyā hai

vasl ke chaar din to biit ga.e
sirf yādeñ haiñ ab bachā kyā hai

dil diyā jis ko vo huā ġhāfil
jurm-e-iz.hār kī sazā kyā hai

kho gayā vo jahāñ ke mele meñ
merī duniyā meñ ab rahā kyā hai

baat hotī thī kal nigāhoñ se
un ishāroñ kā ab huā kyā hai

jānte jab the ishq kā anjām
'monā' qismat se phir gila kyā hai

dard iksir ke siwa kya hai
zaKHm-e-dil ke bina maza kya hai

meri sanson mein bas gai hai mahak
hae is kuche ki hawa kya hai

wasl ke chaar din to bit gae
sirf yaaden hain ab bacha kya hai

dil diya jis ko wo hua ghafil
jurm-e-izhaar ki saza kya hai

kho gaya wo jahan ke mele mein
meri duniya mein ab raha kya hai

baat hoti thi kal nigahon se
un ishaaron ka ab hua kya hai

jaante jab the ishq ka anjam
'mona' qismat se phir gila kya hai


Source: Book : Kahkashaan (Pg. 43) Author : Elizabeth Kurian Mona Publication : Educational Publishing House (2013) Edition : 2013

Leave a comment

+