Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidur Rahman

  • Ghazal


naqab chehre se mere haTa rahi hai ghazal


naqāb chehre se mere haTā rahī hai ġhazal
hisār-e-zāt se bāhar bulā rahī hai ġhazal

ye kaun hai jo bahut be-qarār hai mujh meñ
ye kis ke qurb meñ yuuñ kasmasā rahī hai ġhazal

vo ḳhol jis meñ muqayyad huuñ TūTne ko hai
mujhe bahār kā muzhda sunā rahī hai ġhazal

vajūd kā huā jaatā hai falsafa paanī
rumūz-e-zāt se parde uThā rahī hai ġhazal

jo mo'tariz the hue vo bhī mo'tarif us ke
har ek daur meñ jādū-numā rahī hai ġhazal

sahā hai ḳhud pe har ik tiir tanz kā hañs kar
piyā hai zahr magar muskurā rahī hai ġhazal

hai qadr-dān ko apne ye vaj.h-e-sarshārī
ye hāsidoñ ke diloñ ko jalā rahī hai ġhazal

ki sirf gul hī nahīñ ḳhaar se bhī nisbat hai
ye aur baat ki bād-e-sabā rahī hai ġhazal

kare hai us pe riyāzat ki us kā husn khule
'obaid' ke liye misl-e-hinā rahī hai ġhazal

thā ek shaġhl mirā merī ye ġhazal-goī
'obaid' zaat ko ab apnī bhā rahī hai ġhazal

naqab chehre se mere haTa rahi hai ghazal
hisar-e-zat se bahar bula rahi hai ghazal

ye kaun hai jo bahut be-qarar hai mujh mein
ye kis ke qurb mein yun kasmasa rahi hai ghazal

wo KHol jis mein muqayyad hun TuTne ko hai
mujhe bahaar ka muzhda suna rahi hai ghazal

wajud ka hua jata hai falsafa pani
rumuz-e-zat se parde uTha rahi hai ghazal

jo mo'tariz the hue wo bhi mo'tarif us ke
har ek daur mein jadu-numa rahi hai ghazal

saha hai KHud pe har ek tir tanz ka hans kar
piya hai zahr magar muskura rahi hai ghazal

hai qadr-dan ko apne ye wajh-e-sarshaari
ye hasidon ke dilon ko jala rahi hai ghazal

ki sirf gul hi nahin KHar se bhi nisbat hai
ye aur baat ki baad-e-saba rahi hai ghazal

kare hai us pe riyazat ki us ka husn khule
'obaid' ke liye misl-e-hina rahi hai ghazal

tha ek shaghl mera meri ye ghazal-goi
'obaid' zat ko ab apni bha rahi hai ghazal


Source: Book : Soch Abshar (Poetry) (Pg. 93) Author : Obaidur Rahman Publication : Sehla Obaid (2007) Edition : 2007

Leave a comment

+