Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Usmani

  • Ghazal


mazaq-e-kawish-e-pinhan ab itna aam kya hoga


mazāq-e-kāvish-e-pinhāñ ab itnā aam kyā hogā
zabāñ par ham-safīroñ kī mirā paiġhām kyā hogā

kahe detā hai ḳhud āġhāz hī anjām kyā hogā
tirī ātish-bayānī se charāġh-e-shām kyā hogā

na ghabrā bāġhbāñ bulbul kī rasmī nauha-ḳhvānī se
bhalā in chand tinkoñ kā nasheman naam kyā hogā

fidā-e-kasmpursī huuñ nisār-e-talḳh-kāmī huuñ
mire azm-e-talab kā mudda.ā ārām kyā hogā

fareb-andar-fareb ātish-dar-ātish ai ma.āz-allāh
ḳhudā nā-karda fasl-e-gul tirā anjām kyā hogā

irādat kā bharam khul jā.egā bai.at na le saaqī
giraftār-e-salāsil huuñ tavāf-e-jām kyā hogā

ye kyuuñ samjhā.ūñ maiñ 'yāqūb' nok-e-nashtar-e-ġham ko
jo baaqī rah gayā hai ḳhūn-e-haft-andām kyā hogā

mazaq-e-kawish-e-pinhan ab itna aam kya hoga
zaban par ham-safiron ki mera paigham kya hoga

kahe deta hai KHud aaghaz hi anjam kya hoga
teri aatish-bayani se charagh-e-sham kya hoga

na ghabra baghban bulbul ki rasmi nauha-KHwani se
bhala in chand tinkon ka nasheman nam kya hoga

fida-e-kasmpursi hun nisar-e-talKH-kaami hun
mere azm-e-talab ka muddaa aaram kya hoga

fareb-andar-fareb aatish-dar-atish ai maaz-allah
KHuda na-karda fasl-e-gul tera anjam kya hoga

iradat ka bharam khul jaega baiat na le saqi
giraftar-e-salasil hun tawaf-e-jam kya hoga

ye kyun samjhaun main 'yaqub' nok-e-nashtar-e-gham ko
jo baqi rah gaya hai KHun-e-haft-andam kya hoga


Source: Deewan-e-Waleeullah Muhib

Leave a comment

+