Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


chand ko talab mujhko KHwab wapas kar diya


chāñd ko tālāb mujh ko ḳhvāb vāpas kar diyā
din-Dhale sūraj ne sab asbāb vāpas kar diyā

is tarah bichhḌā ki aglī raunaqeñ phir aa ga.iiñ
us ne merā halqa-e-ahbāb vāpas kar diyā

phir bhaTaktā phir rahā hai koī burj-e-dil ke paas
kis ko ai chashm-e-sitāra-yāb vāpas kar diyā

maiñ ne āñkhoñ ke kināre bhī na tar hone diye
jis taraf se aayā thā sailāb vāpas kar diyā

jaane kis dīvār se Takrā ke lauT aa.ī hai geñd
jaane kis dīvār ne mahtāb vāpas kar diyā

phir to us kī yaad bhī rakkhī na maiñ ne apne paas
jab kiyā vāpas to kul asbāb vāpas kar diyā

iltijā.eñ kar ke māñgī thī mohabbat kī kasak
be-dilī ne yuuñ ġham-e-nāyāb vāpas kar diyā

chand ko talab mujh ko KHwab wapas kar diya
din-Dhale suraj ne sab asbab wapas kar diya

is tarah bichhDa ki agli raunaqen phir aa gain
us ne mera halqa-e-ahbab wapas kar diya

phir bhaTakta phir raha hai koi burj-e-dil ke pas
kis ko ai chashm-e-sitara-yab wapas kar diya

main ne aankhon ke kinare bhi na tar hone diye
jis taraf se aaya tha sailab wapas kar diya

jaane kis diwar se Takra ke lauT aai hai gend
jaane kis diwar ne mahtab wapas kar diya

phir to us ki yaad bhi rakkhi na main ne apne pas
jab kiya wapas to kul asbab wapas kar diya

iltijaen kar ke mangi thi mohabbat ki kasak
be-dili ne yun gham-e-nayab wapas kar diya


Leave a comment

+