Subscribe to our newsletter and get our newest updates

zafar iqbal zafar

  • Ghazal


jis rose se apna mujhe idrak hua hai


jis roz se apnā mujhe idrāk huā hai
har lamha mirī ziist kā saffāk huā hai

ghar se to nikal aa.e ho sochā nahīñ kuchh bhī
ab soch rahe ho jo badan chaak huā hai

tahzīb hī baaqī hai na ab sharm-o-hayā kuchh
kis darja ab insān ye bebāk huā hai

guzrā hai koī sāneha bastī meñ hamārī
har shaḳhs kā chehra yahāñ ġhamnāk huā hai

uftād zamāne kī paḌī aisī hai mujh par
thā jo bhī asāsa ḳhas-o-ḳhāshāk huā hai

āñdhī thī vo nafrat kī ki insāñ thā andhā
haiñ sho.ale uThe aise ki sab ḳhaak huā hai

aslāf ke aqdār ko apnāyā hai jis ne
pastī meñ rahā phir bhī vo aflāk huā hai

rakhā hai qadam jis ne siyāsat ke safar par
vo shaḳhs 'zafar' sāhab-e-imlāk huā hai

jis roz se apna mujhe idrak hua hai
har lamha meri zist ka saffak hua hai

ghar se to nikal aae ho socha nahin kuchh bhi
ab soch rahe ho jo badan chaak hua hai

tahzib hi baqi hai na ab sharm-o-haya kuchh
kis darja ab insan ye bebak hua hai

guzra hai koi saneha basti mein hamari
har shaKHs ka chehra yahan ghamnak hua hai

uftad zamane ki paDi aisi hai mujh par
tha jo bhi asasa KHas-o-KHashak hua hai

aandhi thi wo nafrat ki ki insan tha andha
hain shoale uThe aise ki sab KHak hua hai

aslaf ke aqdar ko apnaya hai jis ne
pasti mein raha phir bhi wo aflak hua hai

rakha hai qadam jis ne siyasat ke safar par
wo shaKHs 'zafar' sahab-e-imlak hua hai


Leave a comment

+