Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kamran Ghani Saba

  • Ghazal


zindagi kitna aazmaegi


zindagī kitnā āzmā.egī
āḳhirash vo bhī haar jā.egī

kis qadar pyaas hai samundar ko
merī tishna-labī batā.egī

kyā ḳhabar thī shab-e-firāq ke ba.ad
zindagī ḳhud bhī ruuTh jā.egī

kyā huā lab ko sī diyā bhī agar
ḳhāmushī dāstāñ sunā.egī

maiñ use kaise bhuul pā.ūñgā
vo mujhe kaise bhuul pā.egī

ba.ad tark-e-ta.alluqāt 'sabā'
aur bhī us kī yaad aa.egī

zindagi kitna aazmaegi
aaKHirash wo bhi haar jaegi

kis qadar pyas hai samundar ko
meri tishna-labi bataegi

kya KHabar thi shab-e-firaq ke baad
zindagi KHud bhi ruTh jaegi

kya hua lab ko si diya bhi agar
KHamushi dastan sunaegi

main use kaise bhul paunga
wo mujhe kaise bhul paegi

baad tark-e-talluqat 'saba'
aur bhi us ki yaad aaegi


Leave a comment

+