Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmi Badayuni

  • Ghazal


maut ki samt jaan chalti rahi


maut kī samt jaan chaltī rahī
zindagī kī dukān chaltī rahī

saare kirdār so ga.e thak kar
bas tirī dāstān chaltī rahī

maiñ laraztā rahā hadaf ban kar
mashq-e-tīr-e-kamān chaltī rahī

ulTī sīdhī charāġh sunte rahe
aur havā kī zabān chaltī rahī

do hī mausam the dhuup yā bārish
chhatriyoñ kī dukān chaltī rahī

jism lambe the chādareñ chhoTī
raat bhar khīñch-tān chaltī rahī

par nikalte rahe bikharte rahe
ūñchī nīchī uḌaan chaltī rahī

maut ki samt jaan chalti rahi
zindagi ki dukan chalti rahi

sare kirdar so gae thak kar
bas teri dastan chalti rahi

main larazta raha hadaf ban kar
mashq-e-tir-e-kaman chalti rahi

ulTi sidhi charagh sunte rahe
aur hawa ki zaban chalti rahi

do hi mausam the dhup ya barish
chhatriyon ki dukan chalti rahi

jism lambe the chadaren chhoTi
raat bhar khinch-tan chalti rahi

par nikalte rahe bikharte rahe
unchi nichi uDan chalti rahi


Leave a comment

+