Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dipak Prajapati Khaalis

  • Ghazal


kisi ke muntazir rahna na darwaza khula rakhna


kisī ke muntazir rahnā na darvāza khulā rakhnā
hameñ aayā nahīñ dil ko mohabbat meñ lagā rakhnā

ye karb-o-dard hī dar-asl hai darkār jiine meñ
so in ko chāhiye din-rāt palkoñ pe sajā rakhnā

ḳhudā jaane faqīroñ meñ ye fan kis tarah aatā hai
koī bhī sāneha guzre magar chehra khulā rakhnā

amīr-e-shahr ke logoñ meñ ik ye bhī rivāyat hai
bahut mailā badan rakhnā bahut ujlī qabā rakhnā

ġhazab kā mashvara de kar hai vo ab tak ġhazab shā.ir
baḌe logoñ se milne meñ hamesha fāsla rakhnā

mire saa.e mire naqsh-e-qadam par mat chalā kar tū
umīd-e-rahbarī bhaTke hue logoñ se kyā rakhnā

ḳhafā rahne se is darja nikhār aayā hai ġhazloñ meñ
ki ab to chāhtā huuñ umr bhar ḳhud ko ḳhafā rakhnā

kisi ke muntazir rahna na darwaza khula rakhna
hamein aaya nahin dil ko mohabbat mein laga rakhna

ye karb-o-dard hi dar-asl hai darkar jine mein
so in ko chahiye din-raat palkon pe saja rakhna

KHuda jaane faqiron mein ye fan kis tarah aata hai
koi bhi saneha guzre magar chehra khula rakhna

amir-e-shahr ke logon mein ek ye bhi riwayat hai
bahut maila badan rakhna bahut ujli qaba rakhna

ghazab ka mashwara de kar hai wo ab tak ghazab shair
baDe logon se milne mein hamesha fasla rakhna

mere sae mere naqsh-e-qadam par mat chala kar tu
umid-e-rahbari bhaTke hue logon se kya rakhna

KHafa rahne se is darja nikhaar aaya hai ghazlon mein
ki ab to chahta hun umr bhar KHud ko KHafa rakhna


Leave a comment

+