Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Aasi

  • Ghazal


aaj tak jo bhi hua usko bhula dena hai


aaj tak jo bhī huā us ko bhulā denā hai
aaj se tai hai ki dushman ko duā denā hai

aa mire yaar phir ik baar gale se lag jā
phir kabhī dekheñge kyā lenā hai kyā denā hai

aaj tak ham ne bahut zulm kiye haiñ ḳhud par
ahd karte haiñ ki ab ḳhud ko sazā denā hai

jism par jaan kā jo qarz chalā aatā hai
ab ke fasl aa.ī to vo qarz chukā denā hai

ab añdhere to bahut sar pe chaḌhe aate haiñ
ab charāġhoñ meñ lahū apnā jalā denā hai

aaj tak jo bhi hua us ko bhula dena hai
aaj se tai hai ki dushman ko dua dena hai

aa mere yar phir ek bar gale se lag ja
phir kabhi dekhenge kya lena hai kya dena hai

aaj tak hum ne bahut zulm kiye hain KHud par
ahd karte hain ki ab KHud ko saza dena hai

jism par jaan ka jo qarz chala aata hai
ab ke fasl aai to wo qarz chuka dena hai

ab andhere to bahut sar pe chaDhe aate hain
ab charaghon mein lahu apna jala dena hai


Source: Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 311) Author : Farooq Argali Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+