ġhurūb hote hue sūrajoñ ke paas rahe
udaas shaam kī mānind ham udaas rahe
khañDar sā ek makāñ tāktā hai rastoñ ko
na jaane aaj kahāñ is ke ġham shanās rahe
bahār aa.ī to saj-dhaj ke ho ga.e tayyār
daraḳht sirf ḳhizāoñ meñ be-libās rahe
ye kah ke ho ga.e thoḌe se bevafā ham bhī
hamesha kaun mohabbat meñ devdās rahe
mire ḳhayāl meñ tauhīn hai aqīdat kī
samundaroñ meñ rahūñ aur laboñ pe pyaas rahe
ghurub hote hue surajon ke pas rahe
udas sham ki manind hum udas rahe
khanDar sa ek makan takta hai raston ko
na jaane aaj kahan is ke gham shanas rahe
bahaar aai to saj-dhaj ke ho gae tayyar
daraKHt sirf KHizaon mein be-libas rahe
ye kah ke ho gae thoDe se bewafa hum bhi
hamesha kaun mohabbat mein dewdas rahe
mere KHayal mein tauhin hai aqidat ki
samundaron mein rahun aur labon pe pyas rahe
Leave a comment