Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Uzlat

  • Ghazal


wo kya din the jo qatil-bin dil-e-ranjur ro deta


vo kyā din the jo qātil-bin dil-e-ranjūr ro detā
mirā har zaḳhm juuñ vo teġh hotī duur, ro detā

ajab Dhorī-lagan merī kī thī us sham-e-sarkash ko
ki merā dekhtā jab ijz vo maġhrūr ro detā

hamāre shahr-e-dard-ābād meñ lohū ke aañsū se
vahāñ kā daar jab suulī diyā mansūr ro detā

misāl-e-sub.h shabnam-rez jo sūraj kā burqa hai
chhiḌaktā jab vo mere dāġh-e-dil par shuur ro detā

jo hotī vo palak-nashtar sahāb-e-chashm kī rag par
mire sailāb-e-ashk aage nadī kā puur ro detā

na niklā ghar se varna na.ash merī ḳhāk-e-rāh uupar
paḌī gar dekhtā 'uzlat' vo rashk-e-hūr ro detā

wo kya din the jo qatil-bin dil-e-ranjur ro deta
mera har zaKHm jun wo tegh hoti dur, ro deta

ajab Dhori-lagan meri ki thi us sham-e-sarkash ko
ki mera dekhta jab ijz wo maghrur ro deta

hamare shahr-e-dard-abaad mein lohu ke aansu se
wahan ka dar jab suli diya mansur ro deta

misal-e-subh shabnam-rez jo suraj ka burqa hai
chhiDakta jab wo mere dagh-e-dil par shur ro deta

jo hoti wo palak-nashtar sahab-e-chashm ki rag par
mere sailab-e-ashk aage nadi ka pur ro deta

na nikla ghar se warna nash meri KHak-e-rah upar
paDi gar dekhta 'uzlat' wo rashk-e-hur ro deta


Leave a comment

+