Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Haidar Ali Aatish

  • Ghazal


koi ishq mein mujhse afzun na nikla


koī ishq meñ mujh se afzūñ na niklā
kabhī sāmne ho ke majnūñ na niklā

baḌā shor sunte the pahlū meñ dil kā
jo chīrā to ik qatra-e-ḳhūñ na niklā

bajā kahte aa.e haiñ hech us ko shā.er
kamar kā koī ham se mazmūñ na niklā

huā kaun sā roz-e-raushan na kaalā
kab afsāna-e-zulf-e-shabgūñ na niklā

pahuñchtā use misra-e-tāza-o-tar
qad-e-yār sā sarv-e-mauzūñ na niklā

rahā sāl-hā-sāl jañgal meñ 'ātish'
mire sāmne bed-e-majnūñ na niklā

koi ishq mein mujh se afzun na nikla
kabhi samne ho ke majnun na nikla

baDa shor sunte the pahlu mein dil ka
jo chira to ek qatra-e-KHun na nikla

baja kahte aae hain hech us ko shaer
kamar ka koi hum se mazmun na nikla

hua kaun sa roz-e-raushan na kala
kab afsana-e-zulf-e-shabgun na nikla

pahunchta use misra-e-taza-o-tar
qad-e-yar sa sarw-e-mauzun na nikla

raha sal-ha-sal jangal mein 'atish'
mere samne bed-e-majnun na nikla


Leave a comment

+