Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ezaz Kazmi

  • Ghazal


nahin ki zinda hai bas ek meri zat mein ishq


nahīñ ki zinda hai bas ek merī zaat meñ ishq
maiñ sach kahūñ to faqat hai hī kā.enāt meñ ishq

maiñ ishq-zād charāġhoñ kī bazm meñ rahā huuñ
so jal rahā hai abhī mere daa.eñ haat meñ ishq

vo husn nuur kī bārish meñ jab nahā rahā thā
machal rahā thā bahut tab tajalliyāt meñ ishq

maiñ sochtā huuñ ki kyā hotā dahr meñ har sū
agar na hotā kahīñ tere shash-jahāt meñ ishq

qalam se likkhā gayā hai varaq pe harf-e-sukūt
taḌap rahā hai mirī nīlgūñ davāt meñ ishq

kahīñ pe zinda hai ye jiit ke har ik baazī
kahīñ pe raushaniyāñ kar rahā hai maat meñ ishq

kahīñ haiñ duniyā kī rañgīniyāñ ta.āqub meñ
kahīñ jhalaktā hai merī har ek baat meñ ishq

nahin ki zinda hai bas ek meri zat mein ishq
main sach kahun to faqat hai hi kaenat mein ishq

main ishq-zad charaghon ki bazm mein raha hun
so jal raha hai abhi mere daen hat mein ishq

wo husn nur ki barish mein jab naha raha tha
machal raha tha bahut tab tajalliyat mein ishq

main sochta hun ki kya hota dahr mein har su
agar na hota kahin tere shash-jahat mein ishq

qalam se likkha gaya hai waraq pe harf-e-sukut
taDap raha hai meri nilgun dawat mein ishq

kahin pe zinda hai ye jit ke har ek bazi
kahin pe raushaniyan kar raha hai mat mein ishq

kahin hain duniya ki ranginiyan taaqub mein
kahin jhalakta hai meri har ek baat mein ishq


Source: Book : Lamhon Ki Aawaz (Pg. 185) Author : Owais Ahmad Dauran Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1974) Edition : 1974

Leave a comment

+