Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaifi Hyderabadi

  • Ghazal


gunjaish-e-kalam kahan KHair-o-shar mein hai


gunjā.ish-e-kalām kahāñ ḳhair-o-shar meñ hai
jab tum bashar meñ ho to sabhī kuchh bashar meñ hai

yuuñ to zalīl-o-ḳhvār har ik kī nazar meñ hai
bande kī shaan chashm-e-haqīqat-nigar meñ hai

ġham-ḳhvār ban ga.e haiñ chhiḌakte the jo namak
kuchh aisī chāshnī mire zaḳhm-e-jigar meñ hai

arz-o-samā hai vaqf-e-nigāh-e-umīd-o-yās
duniyā kī ūñch-nīch hamārī nazar meñ hai

'kaifī' hai sau barūñ kā burā phir bhī sach kaho
aisā bhī koī shaḳhs tumhārī nazar meñ hai

gunjaish-e-kalam kahan KHair-o-shar mein hai
jab tum bashar mein ho to sabhi kuchh bashar mein hai

yun to zalil-o-KHwar har ek ki nazar mein hai
bande ki shan chashm-e-haqiqat-nigar mein hai

gham-KHwar ban gae hain chhiDakte the jo namak
kuchh aisi chashni mere zaKHm-e-jigar mein hai

arz-o-sama hai waqf-e-nigah-e-umid-o-yas
duniya ki unch-nich hamari nazar mein hai

'kaifi' hai sau barun ka bura phir bhi sach kaho
aisa bhi koi shaKHs tumhaari nazar mein hai


Source: Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 261) Author : Hasrat Mohani Publication : uttar pradesh urdu academy (1983) Edition : 1983

Leave a comment

+