Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Osama Khalid

  • Ghazal


koi malal hun dukh hun batao kya hun main


koī malāl huuñ dukh huuñ batāo kyā huuñ maiñ
dinoñ ke ba.ad kisī shaḳhs ko dikhā huuñ maiñ

ye kaun pāltā phirtā hai hijr kā aaseb
mujhe batāyā gayā thā ki mar chukā huuñ maiñ

jigar ke haath lapakte haiñ aañkh kī jānib
kuchh aisī tarz se girya-kunāñ huā huuñ maiñ

kabhī kabhī mirī āñkheñ javāb detī haiñ
kabhī kabhī tujhe itnā savāltā huuñ maiñ

kisī ke ashk mire gaal chhū ke girte the
kisī ke qurb meñ itnā bhī rah chukā huuñ maiñ

tumhārā hijr mire saath rahnā chāhtā hai
use batāo ki is se bahut baḌā huuñ maiñ

bahisht pheñk chukī hai zamīn par mujh ko
ḳhudā kā shukr tujhe raas aa gayā huuñ maiñ

koi malal hun dukh hun batao kya hun main
dinon ke baad kisi shaKHs ko dikha hun main

ye kaun palta phirta hai hijr ka aaseb
mujhe bataya gaya tha ki mar chuka hun main

jigar ke hath lapakte hain aankh ki jaanib
kuchh aisi tarz se girya-kunan hua hun main

kabhi kabhi meri aankhen jawab deti hain
kabhi kabhi tujhe itna sawalta hun main

kisi ke ashk mere gal chhu ke girte the
kisi ke qurb mein itna bhi rah chuka hun main

tumhaara hijr mere sath rahna chahta hai
use batao ki is se bahut baDa hun main

bahisht phenk chuki hai zamin par mujh ko
KHuda ka shukr tujhe ras aa gaya hun main


Leave a comment

+